mol-tol karne walon se kya kahna

By muzaffar-erajOctober 25, 2023
mol-tol karne walon se kya kahna
dil moti par koi khol nahin chadhta
ek hi saudagar mandi mein hath aaya
wo bhi kabadi karta raddi ka sauda


un par bhai bharosa karna hi bekar
dhoka dene wale dete hain dhoka
hum ne sip bhare daman mein laut aae
sip the khali aakhir hum ko kya milta


lakh pakad kar un ke panw baitho tum
apna rang na badlenge hum ne dekha
hum pardes gae to shayad bhul gae
hum ne kiya tha un se wada chhota sa


gahri chot thi dil par khai mast hue
lekin wo kyunkar karte hain wawaila
pathrili dharti par jite marte hain
baaten karte rahte hain khwabon ki sada


jaisa hai jis haal mein hai painda rahe
marte marte us ne di 'iraj' ko dua
40746 viewsghazalEnglish