mom ka ye jism mera dhup ki yalghaar hai

By shamim-danishFebruary 29, 2024
mom ka ye jism mera dhup ki yalghaar hai
waqt-e-mushkil hai madad maula teri darkar hai
phir tumhaari did ka tarsa chala jaunga main
phir tumhaare shahr mein aana mera bekar hai


aankh nargis chand chehra zulf baadal lab gulab
tu sarapa khaliq-e-kaunain ka shahkar hai
us se jo milta hai us ka ho ke rah jata hai wo
us ki aankhen dil-barana us ka chehra pyar hai


jhut bolunga to main andar se mara jaunga
sach bhi kahta hun to gardan ke liye talwar hai
44998 viewsghazalEnglish