mo'tabar se rishton ka saeban rahne do mehrban duaon mein khandan rahne do muzmahil se baam-o-dar khasta-haal diwaren bap ki nishani hai wo makan rahne do phailte hue shahro apni wahshaten roko mere ghar ke aangan par aasman rahne do aane wali naslen khud hal talash kar lengi aaj ke masail ko khush-guman rahne do uljhe uljhe resham ki dor se bandhe rishte har ghadi mohabbat ka imtihan rahne do kya bahut zaruri hai sari baat kah dalen jugnuon se kuchh lamhe darmiyan rahne do