mo'taqid is bar shayad surkh-ru hone ko hai dost tha jo ab talak wo bhi adu hone ko hai dar khule jate hain gum-gashta makinon ki taraf har kisi ko apni apni justuju hone ko hai parbaton ki shakl mein tabdil hota hai dhuan kya koi aaseb mere ru-ba-ru hone ko hai surkhiyon mein dhalti jati hai syahi dam-ba-dam rafta rafta sara hi pani lahu hone ko hai wahm ki taid karti hai hawaon ki nami pyas ke maron pe zahir aabju hone ko hai sai-e-la-hasil se bhi hasil hua hai wo mujhe jis ki sab zinda-dilon ko aarzu hone ko hai ek zamane baad 'rahat' hosh mein aaya hun main ek zamane baad khud se guftugu hone ko hai