muaf kar meri masti KHuda-e-azza-wa-jal
By ahmad-farazSeptember 21, 2023
mu'af kar meri masti khuda-e-azza-wa-jal
ki mere hath mein saghar hai mere lab pe ghazal
karim hai to meri laghzishon ko pyar se dekh
rahim hai to saza-o-jaza ki had se nikal
hai dosti to mujhe izn-e-mezbani de
tu aasman se utar aur meri zamin pe chal
main pa-ba-gil hun magar chhu chuka minara-e-'arsh
so tu bhi dekh ye khak-o-khashaara-o-jangal
bahut 'aziz hai mujh ko ye khak-dan mera
ye kohsar ye qulzum ye dasht ye daldal
mere jahan mein zaman-o-makan-o-lail-o-nahaar
tere jahan mein azal hai abad na aaj na kal
mere lahu mein hai barq-e-tapan ka jazb-o-gurez
tere subu mein mai-e-zindagi na zahr-e-ajal
teri bahisht hai dasht-e-jumud-o-bahr-e-sukut
meri sarisht hai aashob-e-zat se bekal
tu apne 'arsh pe shadan hai so khushi teri
main apne farsh pe nazan hun ai nigar-e-azal
mujhe na jannat-e-gum-gashta ki bashaarat de
ki mujh ko yaad abhi tak hai hijrat-e-awwal
tere karam se yahan bhi mujhe mayassar hai
jo zahidon ki 'ibaadat mein dalta hai khalal
wo sair-chashm hun mere liye hai be-waq'at
jamal-e-hur-o-sharab-tahur-o-shir-o-‘asal
gunahgar to hun par na is qadar ki mujhe
salib roz-e-mukafat ki lage bojhal
kahin kahin koi lala kahin kahin koi dagh
meri bayaz ki surat hai meri fard-e-amal
wo tu ki ‘uqda-kusha-o-musabbib-ul-asbab
ye main ki aap mo'amma hun aap apna hi hal
main aap apna hi habil apna hi qabil
meri hi zat hai maqtul-o-qatil-o-maqtal
baras baras ki tarah tha nafas nafas mera
sadi sadi ki tarah katta raha pal pal
tera wajud hai la-raib ashraf-o-a’la
jo sach kahun to nahin main bhi arzal-o-asfal
ye waqi’a hai ki sha'ir wo dekh sakta hai
rahe jo tere farishton ki aankh se ojhal
wo par-fishan hain magar ghol-e-shapparak ki tarah
so raegan hain ki jun chashm-e-kor mein kajal
mere liye to hai sau bakhshishon ki ek bakhshish
qalam jo afsar-o-tabl-o-‘alam se hai afzal
yahi qalam hai ki jis ki sitara-sazi se
dilon mein jot jagati hai 'ishq ki mash'al
yahi qalam hai jo dukh ki ruton mein bakhshta hai
dilon ko pyar ka marham sukun ka sandal
yahi qalam hai ki e’jaz-e-harf se jis ke
tamam ‘ishwa-taraazan-e-shahr hain pagal
yahi qalam hai ki jis ne mujhe ye dars diya
ki sang-o-khisht ki zad par rahenge shish-mahal
yahi qalam hai ki jis ki sarir ke aage
hain surma dar-gulu khunkhar lashkaron ke bigal
yahi qalam hai ki jis ke hunar se nikle hain
rah-e-hayat ke kham hon ki zulf-e-yar ke bal
yahi qalam hai ki jis ki 'ata se mujh ko mile
ye chahaton ke shagufe mohabbaton ke kanwal
tamam sina-figaron ko yaad mere sukhan
har ek ghairat-e-mariyam ke lab pe meri ghazal
isi ne sahl kiye mujh pe zindagi ke 'azab
wo ahd-e-sang-zani tha ki daur-e-tegh-e-ajal
isi ne mujh ko sujhai hai rah-e-ahl-e-safa
isi ne mujh se kaha hai pul-e-siraat pe chal
isi ne mujh ko chatanon ke hausle bakhshe
wo karbala-e-fana thi ki kargah-e-jadal
isi ne mujh se kaha ism-e-ahl-e-sidq amar
isi ne mujh se kaha sach ka faisla hai atal
isi ke faiz se aatish-kade hue gulzar
isi ke lutf se har zisht ban gaya ajmal
isi ne mujh se kaha jo mila bahut kuchh hai
isi ne mujh se kaha jo nahin hai hath na mal
isi ne mujh ko qana'at ka boriya bakhsha
isi ke hath se dast-e-daraaz-e-tam’ hai shal
isi ki aag se mera wajud raushan hai
isi ki aab se mera zamir hai saiqal
isi ne mujh se kaha bai'at-e-yazid na kar
isi ne mujh se kaha maslak-e-husain pe chal
isi ne mujh se kaha zahr ka piyala utha
isi ne mujh se kaha jo kaha hai us se na tal
isi ne mujh se kaha ‘ajizi se mat na kha
isi ne mujh se kaha maslahat ki chaal na chal
isi ne mujh se kaha ghairat-e-sukhan ko na bech
ki khun-e-dil ke sharaf ko na ashrafi se badal
isi ne mujh ko 'inayat kiya yad-e-baiza
isi ne mujh se kaha sehr-e-samri se nikal
isi ne mujh se kaha 'aql tah-nashini hai
isi ne mujh se kaha warta-e-khirad se nikal
isi ne mujh se kaha waz'-e-'ashiqi ko na chhod
wo khwah 'ijz ka lamha ho ya ghurur ka pal
aziyyaton mein bhi bakhshi mujhe wo ne'mat-e-sabr
ki mere dil mein girah hai na mere mathe pe bal
hain sabt sina-e-mahtab par qadam mere
hain muntazir mere mirrikh-o-mushtari-o-zuhal
teri 'ata ke sabab ya meri ana ke sabab
kisi du'a ka hai mauqa na iltija ka mahal
so tujh sa hai koi khaliq na mujh si hai makhluq
na koi tera hai sani na koi mera badal
'faraaz' tu bhi junun mein kidhar gaya hai nikal
tera dayar mohabbat teri nigar ghazal
qaf
tapak chuka hai bahut teri aankh se khun-nab
baras chuka hai bahut tere dard ka baadal
kuchh aur der abhi hasrat-e-visal mein rah
kuchh aur der abhi aatish-e-firaq mein jal
kisi bahaar-e-shimail ki baat kar ki bane
har ek harf shagufa har ek lafz kanwal

35358 viewsghazal • English