mudawa-e-dil-e-diwana karte ye karte hum to kuchh achchha na karte wafa sadiq agar hoti hamari wo karte bhi to jaur itna na karte hum achchha tha jo bahr-e-parda-poshi mohabbat ka teri charcha na karte tumhaari fitna-pardazi ka shikwa jo hum karte to kuchh beja na karte nigahen aashiqon ki thi hawas-kar wo kya karte agar parda na karte jo phir milne ki hoti kuchh bhi ummid to hum us ke liye kya kya na karte talab ka hausla hota to ek din khitab us but se bebakana na karte hamara pas unhen kuchh bhi jo hota kisi ki aur hum parwa na karte shakebai ka dam rakhte to 'hasrat' unhen yun shauq se dekha na karte