muddat hui rahat bhara manzar nahin utra sawan ka mahina meri chhat par nahin utra raushan raha ek shakhs ki yaadon se hamesha girdab mein zulmat ke mera ghar nahin utra jis aankh ne dekha tumhein deti hai gawahi tum jaisa zamin par koi paikar nahin utra sachchai mere honton se utri nahin hargiz jab tak mere kandhon se mera sar nahin utra qudrat ki ibaraat ko padhte rahe barson mafhum magar zehn ke andar nahin utra nashsha hi kuchh aisa tha futuhat ka us par jazbaat ke tausan se sikandar nahin utra sahil pe jo utra tha safinon ko jala kar sadiyon se phir aisa koi lashkar nahin utra utra nahin nafrat ke samundar mein kabhi main mujh mein kabhi nafrat ka samundar nahin utra koshish to bahut ki thi 'khumar' hum ne bhi lekin shishe mein wo ek shokh sitamgar nahin utra