muddat hui sheron ke siwa kuchh nahin kahta

By sajid-raheemFebruary 28, 2024
muddat hui she'ron ke siwa kuchh nahin kahta
ya'ni main ba-juz naz-o-ada kuchh nahin kahta
karta hai mohabbat to parastish ki hadon tak
barham ho to ghusse mein wo kya kuchh nahin kahta


darwesh tabi'at mujhe wirse mein mili hai
main thik ghalat achchha bura kuchh nahin kahta
deta hai koi shokh badan izn-e-jasarat
tu hath badha band-e-qaba kuchh nahin kahta


ai nek manush meri nahin fikr kar apni
ujde hue logon ko khuda kuchh nahin kahta
ye jo nazar aata hai har ek dagh salamat
yun hai ki purane ko naya kuchh nahin kahta


rota hai bahut jo bhi naya aae jahan mein
hota hai qafas se jo riha kuchh nahin kahta
84961 viewsghazalEnglish