muddat ke baad is ne likha mere nam khat meri shikayaton se bhara hai tamam khat ghabra na is qadar dil-e-betab sabr kar aata hai koi roz mein ab subh-o-sham khat likkha hua hai khas tumhaare hi hath ka pahchanta hai khub tumhaara ghulam khat tahrir un ki sina pe rakh dijiyo mere badle jawab-e-nama ke aaega kaam khat likkha hai ab na likkhenge hum koi khat tujhe khat aaya meri maut ka laya payam khat zae' na jaegi teri mehnat kisi tarah qasid ajura deta hun chutki mein tham khat aashiq-nawaziyan hain tabiat mein yar ki likkha hai har mahine mein bhejo mudam khat tahrir kar ke saikadon wade mukar gae dikhlaunga huzur ko roz-e-qayam khat khat likh ke aaj dak pe pahunchenge yar ko pahunchaega hamara payam-o-salam khat 'agha' nisar hojiye inam dijiye laya hai un ka qasid-e-sarsar-khiram khat