muharrikat-o-riwayat ka hisab nahin

By qutub-sarsharOctober 25, 2023
muharrikat-o-riwayat ka hisab nahin
hazar baaten hain mauzu’-e-inqalab nahin
kisi ke hath mein khanjar kisi ke sikka hai
kisi bhi hath mein khilta hua gulab nahin


hazar baaten hain aisi sawal lagti hain
kuchh aisi baaten hain jin ka koi jawab nahin
khud apne waste jina bhi kuchh nahin aasan
agarche khidmat-e-makhluq ka jawab nahin


83553 viewsghazalEnglish