mujh ishq ko hawas bhari nazren ata kare
By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
mujh 'ishq ko hawas bhari nazren 'ata kare
insan se ye ho nahin sakta khuda kare
jab taliyon ka zor zamanat ho jit ki
karta wahi hai shah jo khwaja-sara kare
in maskharon ko aap to aati nahin hansi
marta hai koi un ki bala se mara kare
banda bhi to bana hai kisi kaam ke liye
ye kya ki ab to jo bhi kare bas khuda kare
khush ho ke apna kaun sa nuqsan ho gaya
ru-e-sukhan kisi ki taraf wo kiya kare
do ek gunah bhi kare ye aadmi ki bas
ta-'umr maghfirat ke liye hi du'a kare
insan se ye ho nahin sakta khuda kare
jab taliyon ka zor zamanat ho jit ki
karta wahi hai shah jo khwaja-sara kare
in maskharon ko aap to aati nahin hansi
marta hai koi un ki bala se mara kare
banda bhi to bana hai kisi kaam ke liye
ye kya ki ab to jo bhi kare bas khuda kare
khush ho ke apna kaun sa nuqsan ho gaya
ru-e-sukhan kisi ki taraf wo kiya kare
do ek gunah bhi kare ye aadmi ki bas
ta-'umr maghfirat ke liye hi du'a kare
53812 viewsghazal • English