mujh mein bahti hai pagal hawa kaun si

By lutf-ur-rahmanSeptember 23, 2023
mujh mein bahti hai pagal hawa kaun si
kaun si hai ye baad-e-saba kaun si
tujh ko samjha tha main manzil-e-justuju
ye bulati hai mujh ko sada kaun si


dil badi be-niyazi se uth kar chala
hai tere gham ki ye intiha kaun si
main ki lauti hui apni aawaz hun
ab bikharti hai mujh mein sada kaun si


dekh kar tujh ko bujhte diye jal uthe
dil ke bujhne ki hai ye ada kaun si
ek ek rukh se zahir hai ab be-rukhi
is mein hai sirf teri khata kaun si


apni aawaz par aa raha hai yaqin
kaam aai ye mere du'a kaun si
mujh ko har ek nazar mein tamasha kiya
jurm kya tha mera di saza kaun si


63500 viewsghazalEnglish