mujh mein KHushbu basi usi ki hai

By ramzi-asimNovember 13, 2020
mujh mein khushbu basi usi ki hai
jaise ye zindagi usi ki hai
wo kahin aas-pas hai maujud
hu-ba-hu ye hansi usi ki hai


khud main apna dukha raha hun dil
is mein lekin khushi usi ki hai
yani koi kami nahin mujh mein
yani mujh mein kami usi ki hai


kya mere khwab bhi nahin mere
kya meri nind bhi usi ki hai
60835 viewsghazalEnglish