mujh pe wo kuchh is qadar chhata raha

By sabeensaifFebruary 28, 2024
mujh pe wo kuchh is qadar chhata raha
apne mit jaane ka gham jata raha
guftugu shab-bhar rahi hai chand se
raat-bhar mujh ko wo yaad aata raha


dil ke kahne mein sada bhatka kiye
koi jugnu rah dikhlata raha
'ishq mein wo aaj khud barbaad hai
'umr-bhar jo mujh ko samjhata raha


dil ki tanhai siwa hoti rahi
jis qadar wo nachta gata raha
meri zulfon mein wo uljha is qadar
wasl ki shab un ko suljhata raha


barf ka tukda nahin tha sang tha
koi nadan us ko pighlata raha
68797 viewsghazalEnglish