mujh sa gul-barz-o-gul-afkar gulistan mein nahin

By ustad-azmat-hussain-khanJanuary 5, 2024
mujh sa gul-barz-o-gul-afkar gulistan mein nahin
phul hi phul hain kante mere daman mein nahin
ya bata dijiye ye rang-e-taghaful kab tak
ya ye kah dijiye kuchh aap ke imkan mein nahin


dil pareshan hai mahaul ki gham-naki se
ab mere sath ka qaidi koi zindan mein nahin
aadamiyyat ki ye tauhin ye takhrib afsos
aur sab kuchh hai mohabbat dil-e-insan mein nahin


aa main samjhaun tujhe ghayat-e-sajda kya hai
khud kashish sar mein ho sang-e-dar-e-jaanan mein nahin
apne mazi pe na ro haal ko rakh pesh-e-nazar
us safine ki taraf dekh jo tufan mein nahin


rukh hawaon ne is andaz se badla 'maikash'
koi aasuda-nasheman hi gulistan mein nahin
96734 viewsghazalEnglish