mujh sin aur dilruba sin hai an-ban kya karun fan kuchh aawati nahin ban kuchh nahin aati sarw-qad sin ban phirta hon gard-baad jiyun ban ban zulf teri siyah nagan hai chhin leti hai har kisi ka man dars sin alam ke hai dil bezar khub-ruyan ka khub hai darshan mujh kun wa'iz nako nasihat kar yar jis sin mile batao fan yak su 'yakru' ka hath pahunchta nahin kyunke pakdega yar ka daman