mujh tak nigah aai jo wapas palat gai phaila jo mera shahr to pahchan ghat gai main chup raha to aankh se aansu ubal pade jab bolne laga meri aawaz phat gai is ka nahin hai ranj ki taqsim ghar hua phulon bhari jo bel thi aangan mein kat gai jine ki khwahishon ne sabhi zakhm bhar diye aaankhon se ashk mez se taswir hat gai dast-e-bahaar-e-rang ne khushbu bikheri thi phir apne aap phul se titli lipat gai manzar jo chahta hun wahi dekhta hun main main kya karunga 'shaz' jo ye dhund chhat gai