mujhe aazad kar do na sabhi pur-soz nalon se meri ai kham-zada qismat dukhon ki sakht chaalon se kahan se sabr laen hum kahan ab aur jaen hum bahut hi zakhm pae hain are in husn walon se kisi ko soch kar kaise kisi ki soch se niklen bahut bechain rahte hain kai aise sawalon se ye hum se ruthne wale manae ab nahin jate bahut ukta gae hain hum manane ke khayalon se khuda ka khauf khao kuchh daro us zat se logo mujhe ab mat satao nit-nai gahri ye chaalon se koi na-mehrban jab hai banega mehrban kaise isi uljhan mein uljhe hain guzishta aath salon se kisi ka kore kaghaz par banaya aks tha 'kashif' ki khushbu ab bhi uthti hai usi ke kale baalon se