mujhe dil ke arman se fursat nahin

By basir-tonkiJanuary 2, 2024
mujhe dil ke arman se fursat nahin
yahi ab musibat hai rahat nahin
teri aarzu se to hun be-umid
tujhe bhul jaun ye qudrat nahin


unhen naz hai husn par apne yun
ki un se siwa khub-surat nahin
mile wo na mujh ko to kya ho gaya
khuda jaanta hai ki hasrat nahin


mohabbat mein sab hi pareshan rahe
ye sun kar unhen tum se ulfat nahin
wo wa'de pe apne na aae kabhi
yahi un ki 'adat hai ghaflat nahin


wahan khud na jaana ai 'basir' kabhi
ki mahbub ke dar pe 'izzat nahin
11038 viewsghazalEnglish