mujhe jo dur se lagta tha aab ka dariya gaya qarib to paya sarab ka dariya kabhi sawab ke sahil se lag nahin sakti wo naw jis ke liye hai azab ka dariya ba-zahir aab-e-rawan ka jo ek khazana hai haqiqatan hai wo dariya habab ka dariya mutala ki jo wadi se ho ke bahta hai wo hai meri nigah-e-intikhab ka dariya parind-e-fikr ki parwaz jab hui hai buland falak se arsh pe utra sahab ka dariya haqiqaton ke jo sahil ko chhod kar bhatke mila hai un ko tasawwur mein khwab ka dariya sarab-e-dasht mein pyason ke waste 'nadim' baha diya hai sakhawat ke aab ka dariya