mujhe kal mila jo sar-e-chaman wo tamam naKHl-e-shabab sa

By nami-ansariNovember 10, 2020
mujhe kal mila jo sar-e-chaman wo tamam nakhl-e-shabab sa
koi baat us ki sharab si koi harf us ka gulab sa
jise zindagi na bhula sake jise maut bhi na mita sake
wahi main hun 'ghaalib'-e-khasta-jaan wahi 'mir'-e-khana-kharab sa


wo tamam gard fana hui mere jism-o-jaan pe jo bar thi
teri ek nazar mein simat gaya mere sar pe tha jo azab sa
wahi ek manzar-e-khush-ada kahin naqsh mein kahin rang mein
wahi us ki zulf ghazal-numa wahi us ka chehra kitab sa


koi baat us mein zarur thi jo mere khayal mein rah gai
use kyun fareb-e-nazar kahun jise main ne dekha tha khwab sa
dil-e-na-subur ke waste koi naqsh-e-naz bacha nahin
ye jahan-e-taza ye asr-e-nau jise dekhiye tah-e-ab sa


ajab ittifaq tha 'nami' ye ki hue baham bhi to kya hue
na shikasta koi meri tarah na girafta koi janab sa
87880 viewsghazalEnglish