mujhe mushkil mein yun andaza-e-mushkil nahin hota

By sayyad-ejaz-ahmad-rizwiNovember 17, 2020
mujhe mushkil mein yun andaza-e-mushkil nahin hota
kabhi main kasrat-e-afkar se bad-dil nahin hota
agar hona pade mannat-kash-e-amwaj bhi mujh ko
tu phir meri khudi ko kuchh gham-e-sahil nahin hota


nahin kuchh pas-e-ghairat jis ko us ka zikr hi kya hai
jo ghairat-mand hai wo dar-ba-dar sail nahin hota
jhuka karti hain wo shakhen jo hoti hain samar-awar
wahi hota hai khud-sar jo kisi qabil nahin hota


lahu ki tere har har bund fariyaadi hai go bismil
magar qatil ke munh par shikwa-e-qatil nahin hota
dil-e-nakaam phir le kaam zauq-e-sai-e-paiham se
kaf-e-afsos malne se to kuchh hasil nahin hota


yaqinan maqsad-e-takhliq ko samjha hua hai wo
faraez se kabhi jo aadmi ghafil nahin hota
wo insan hai malak sajde guzaren jis ke daman par
wo zarra kya jo ham-dosh-e-mah-e-kaamil nahin hota


jo roe dekh kar har har qadam par panw ke chhaale
kabhi wo rah-rau aasuda-e-manzil nahin hota
mere soz-e-darun meri nawa ka faiz hai 'rizwi'
tera hona to wajh-e-garmi-e-mahfil nahin hota


23048 viewsghazalEnglish