mujhe naql par bhi itna agar iKHtiyar hota

By kaif-ahmed-siddiquiNovember 3, 2020
mujhe naql par bhi itna agar ikhtiyar hota
kabhi fail imtihan mein na main bar bar hota
jo main fail ho gaya to sabhi de rahe hain tane
koi dil-nawaz hota koi gham-gusar hota


mujhe aaj itni nafrat se na dekhti ye duniya
jo padhai se zara bhi mere dil ko pyar hota
mere master na hote jo ulum-o-fan mein dana
kabhi maula-bakhsh-sahab ka na main shikar hota


wo padhate waqt darje mein hazar bar barse
jo mujhe bhi chhik aati unhen nagawar hota
na main tandurust hota na kabhi school jata
kabhi sar mein dard rahta to kabhi bukhar hota


kabhi madrase mein aata koi aisa chat wala
ki jo muft mein khilata na kabhi udhaar hota
ye gadha jo apni ghaflat se hai bewaquf itna
jo ye khud ko jaan jata bada hoshiyar hota


tere ghar mein 'kaif' tera koi qadr-dan nahin hai
jo watan se dur hota to bada waqar hota
79755 viewsghazalEnglish