mujhe shuur bhi khwahish ka dagh lagne laga jahan bhi dil ko lagaya dimagh lagne laga talash itna kiya raushni ko jangal mein thakan ke ba'd andhera charagh lagne laga kamal darje ki shaffafiyat thi aankhon mein khud apna aks mujhe un mein dagh lagne laga palak parinda tha lab phul aur zulf shajar wo chehra pahli nazar mein hi bagh lagne laga tu samne tha magar koi aur lag raha tha pas-e-khala-e-mohabbat suragh lagne laga