mujhe talash thi jis ki wahi kabhi na mili

By chandni-pandeyOctober 29, 2020
mujhe talash thi jis ki wahi kabhi na mili
har ek chiz mili ek zindagi na mili
teri talash mein pairon mein pad gae chhaale
magar ai manzil-e-maqsud tu kabhi na mili


khushi se dosti meri bhi thi magar ek din
khafa hui wo kuchh aisi ki phir kabhi na mili
wo jis charagh ke dam se makan raushan tha
usi charagh ko khud apni raushni na mili


tumhaare hijr mein aisa bhi waqt aaya hai
badan tatol ke dekha to nabz hi na mili
ye jism hai ki faqat shor gul hai sanson ka
ye aankh hai ki koi khwab dekhti na mili


dil-o-dimagh pe hawi raha gham-e-dauran
khushi ke sath bhi rah kar mujhe khushi na mili
mujhe na mil saka suraj mere mukaddar ka
tera nasib tujhe meri 'chandni' na mili


47194 viewsghazalEnglish