mujhe tha tujhse kabhi pyar jhuT bola tha

By aarif-nazeerJuly 12, 2024
mujhe tha tujh se kabhi pyar jhut bola tha
hai jhut ye bhi ki dil-dar jhut bola tha
ye jhut bola ki raaton mein jagta hun main
tumhaari yaad mein ai yar jhut bola tha


na-jaane kaise khalaon mein kho gaya yaro
yaqin mano chamakdar jhut bola tha
safed sach ko bhi parkha zamane walon ne
safed jhut ki har bar jhut bola tha


isi liye to chamak thi hamare dhande mein
huzur hum ne lagatar jhut bola tha
phir is ke ba'd mohabbat talash karta raha
ana mein ho ke giraftar jhut bola tha


thi gol-mol hamari bhi guftugu lekin
'ajib us ne bhi khamdar jhut bola tha
khushi ke nam pe dukh hum ne bech dale the
khafa tha hum se kharidar jhut bola tha


use khabar thi ta'alluq bhi tut sakta hai
tabhi to us ne samajh-dar jhut bola tha
main jaanta tha haqiqat isi liye main ne
tumhaara ban ke taraf-dar jhut bola tha


ab itni baat pe kyon hashr tum uthate ho
ki tum se kah to diya yar jhut bola tha
thi us ki bazm mein phir bhi kyon kadkadahat si
agarche hum ne mazedar jhut bola tha


hamare sar pe hai ilzam be-wafai ka
magar tha tu bhi saza-war jhut bola tha
zara si baat pe diwar todne chale ho
koi nahin pas-e-diwar jhut bola tha


har ek baat tumhaari thi mo'tabar jaani
alag ye baat ki har bar jhut bola tha
phir is ke ba'd to 'adat si ban gai 'arif'
zara sa bas yunhi ek bar jhut bola tha


77669 viewsghazalEnglish