mujhe usne teri KHabar di hai
By ahmad-mushtaqOctober 23, 2020
mujhe us ne teri khabar di hai
jis ne har sham ko sahar di hai
gum raha hun tere khayalon mein
tujh ko aawaz umr bhar di hai
din tha aur gard-e-rahguzar nasib
raat hai aur sitara-gardi hai
sard-o-garm-e-zamana dekh liya
na wo garmi hai ab na sardi hai
jis ne har sham ko sahar di hai
gum raha hun tere khayalon mein
tujh ko aawaz umr bhar di hai
din tha aur gard-e-rahguzar nasib
raat hai aur sitara-gardi hai
sard-o-garm-e-zamana dekh liya
na wo garmi hai ab na sardi hai
82950 viewsghazal • English