mujhe ye Dar hai ki ab bas yahi na kar baiThun
By aadarsh-dubeyFebruary 25, 2024
mujhe ye dar hai ki ab bas yahi na kar baithun
teri khushi mein kahin khud-kushi na kar baithun
wo sun ke is liye mujh ko jawab deta nahin
sawal us se koi aakhiri na kar baithun
main jis ko dhund raha tha wo mil gaya mujh mein
tamam shikwe gile aaj hi na kar baithun
har ek samt mujhe tu dikhai deta hai
main ek 'ishq ke pichhe kai na kar baithun
bade jatan se banaya hai us ne jis ko khuda
kahin main chhu ke use aadmi na kar baithun
chale bhi aao ke ek roz ye bhi mumkin hai
tumhaare nam main ye zindagi na kar baithun
kuchh is liye bhi tawajjoh-talab ziyaada hun
jo kah raha hun kahin waqa'i na kar baithun

21157 viewsghazal • English