mujh ko dimagh-e-shewan-o-ah-o-fughan nahin ek aatish-e-khamosh hun jis mein dhuan nahin kis sadgi se kahte ho hum raaz-dan nahin wo kaun sa hai raaz jo tum par ayan nahin wo dushman-e-sukun-e-dil-o-jaan yahi na ho masum si nigah ki jis par guman nahin hai aag si lagi hui rag rag mein kya kahun ek chashm-e-intizar hi yan khun-chakan nahin yun dekhta hun barq ko allah re be-dili jaise kahin chaman mein mera aashiyan nahin is chashm-e-naz ki koi dekhe fusun-gari bar-e-hayat bhi mujhe ab to garan nahin ai mast-e-naz mashq-e-sitam is se bhi siwa ai zauq-e-dard haif agar jawedan nahin ai dil sar-e-niyaz ko kya qaid-e-sang-o-dar kaba hi kya bura hai jo wo aastan nahin ki fursat-e-hayat teri justuju mein sirf ai wae gar hunuz-e-wafa ka guman nahin