mujh ko ek arsa-e-dil-gir mein rakkha gaya tha zahar goya kisi iksir mein rakkha gaya tha hashiya matn samajh le jo padhe qissa-e-gham intizam aisa bhi tahrir mein rakkha gaya tha khwab-alud nigahon se ye kahta guzra main haqiqat tha jo tabir mein rakkha gaya tha umr-bhar is liye barsen meri aankhen ai dost ek sahra meri jagir mein rakkha gaya tha meri aankhon mein har ek rang tha tanhai ka ek khala bhi meri taswir mein rakkha gaya tha