mujh ko hona hai to darwesh ke jaisa ho jaun manzilen sab ke liye aur main rasta ho jaun kitna dushwar hai ek lamha bhi apna hona us ko zid hai ki main har haal mein us ka ho jaun main ne aankhon ko teri ghaur se dekha hai bahut ye to mumkin hi nahin hai ki main andha ho jaun jo hararat hai badan mein wo tere lams ki hai tu mujhe gar na chhue mitti ka tuda ho jaun is qadar lutf bikharne mein mila hai mujh ko main ne koshish hi nahin ki kabhi yakja ho jaun phir ye darta hun khuda jaane bhala kaisa ho ji mein aata hai kabhi apna bhi chehra ho jaun ghaebana hi sahi mera taaruf ho jae main kahani ka kisi tarah se hissa ho jaun is tarah yaad teri aa ke uchak le mujh ko dafatan bhid mein chalte hue tanha ho jaun in tabibon ko ilaj-e-gham-e-dil kya malum tum ayaadat ko chale aao to achchha ho jaun yun hi mitti mein pada ek hunar hun main bhi jauhari mujh ko parakh le to main hira ho jaun tu nahin yaad nahin koi nahin main bhi nahin aur kuchh aur main kuchh aur akela ho jaun