mujhko is taur tujhko pana hai

mujh ko is taur tujh ko pana hai
jaise tu husn ka khazana hai

pahle zid thi ke chhuna hai us ko
ab ye zid hai ki us ko pana hai

us ke honthon ko padh raha hun main
jis ke honton talak hi jaana hai

aa gaya hun main tere honton tak
tujh ko bahon talak hi aana hai

teri gardan ke pichhe til hai jo
us ko honton se bas lagana hai

us ki shadi hai ghair se 'aqib'
us ko ghar se utha ke lana hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close