mujh ko kahaniyan na suna shahr ko bacha baaton se mera dil na lubha shahr ko bacha mere tahaffuzat hifazat se hain jude mere tahaffuzat mita shahr ko bacha tu is liye hai shahr ka hakim ki shahr hai us ki baqa mein teri baqa shahr ko bacha tu jag jaega to sabhi jag jaenge ai shahryar jag zara shahr ko bacha tu chahta hai ghar tera mahfuz ho agar phir sirf apna ghar na bacha shahr ko bacha koi nahin bachane ko aage badha huzur har ek ne dusre se kaha shahr ko bacha lagta hai log ab na bacha paenge ise allah madad ko tu meri aa shahr ko bacha tarikh-dan likkhega 'taimur' ye zarur ek shakhs tha jo kahta raha shahr ko bacha