mujhko sarshaar kiye rakhti hai ek manas-gandh

By farhat-ehsasFebruary 26, 2024
mujh ko sarshaar kiye rakhti hai ek manas-gandh
mera ma'shuq pari-zad nahin ho sakta
teri aazadi ki tahrik hawas-kari hai
banda-e-‘ishq to aazad nahin ho sakta


main to bas khwab dikha deta hun ta'miron ke
kisi ta'mir ki buniyaad nahin ho sakta
khak ke chaak ka raqqas hai 'farhat-ehsas'
charba-e-chehra-e-ajdad nahin ho sakta


89416 viewsghazalEnglish