mujhko talim se nafrat hi sahi

By kaif-ahmed-siddiquiNovember 3, 2020
mujh ko talim se nafrat hi sahi
aur khelon se mohabbat hi sahi
main ne is se to bade kaam liye
aap ko khel se wahshat hi sahi


imtihan se main nahin ghabraata
fail hona meri qismat hi sahi
padhne walon ne bhi kya kuchh na kiya
naql karna meri aadat hi sahi


main ne to sirf guzarish ki thi
sab ki nazron mein shikayat hi sahi
main kisi se na ladunga hargiz
dab ke rahna meri fitrat hi sahi


main na chhodunga sharafat ka chalan
ye sharafat meri zillat hi sahi
kabhi chumegi qadam khud manzil
aaj har gam pe diqqat hi sahi


ye musibat bhi badi dilkash hai
zindagi ek musibat hi sahi
'kaif' ek din ye bana degi tujhe
sher-goi teri aadat hi sahi


22557 viewsghazalEnglish