mujhse jo tu har gam pe yun bol raha hai
By saqib-qamri-misbahiJanuary 4, 2024
mujh se jo tu har gam pe yun bol raha hai
dar-asl tera jahl-e-darun bol raha hai
main hun teri har baat ki tafsil ka talib
aur tu hai ki har baat pe hun bol raha hai
ek fard hai mahbus-e-fusun-sazi-e-wahshat
ek shakhs khirad ko bhi junun bol raha hai
qatil ko mukafat-e-‘amal mil ke rahegi
maqtul ka har qatra-e-khun bol raha hai
wo apne gareban mein bhi jhank ke dekhe
jo aaj mujhe khwar-o-zabun bol raha hai
main maslahatan aaj zara chup jo hun 'saqib'
ek shakhs yahan had se fuzun bol raha hai

34780 viewsghazal • English