mujrim hun agar mujh ko saza kyon nahin dete apna hun to phir mujh ko sada kyon nahin dete kuchh aur nahin shikwa shikayat hi karo tum is bujhti mohabbat ko hawa kyon nahin dete tum laut bhi jao to asar der talak ho malte hue ye hath daba kyon nahin dete phir dekh ke sahab ji usi khas nazar se ummid ke ghunchon ko khila kyon nahin dete ek baat hi kahni hai magar log bahut hain kuchh waqt mujhe in ke siwa kyon nahin dete