mukhalif hai saba-e-nama-bar kuchh aur kahti hai udhar kuchh aur kahti hai idhar kuchh aur kahti hai na tu dushman ke ghar soya na tu dushman ke ghar jaga ye sab sach hai teri surat magar kuchh aur kahti hai udhar madd-e-nazar un ko chhupana raaz ulfat ka idhar kambakht meri chashm-e-tar kuchh aur kahti hai tasawwur dil mein shayad aa gaya hai ghar ke jaane ka ye angdai teri waqt-e-sahar kuchh aur kahti hai nahin malum 'muztar' mar gaya ya sans baqi hai ilahi khair shakl-e-chaaragar kuchh aur kahti hai