muKHtasar hote hue bhi zindagi baDh jaegi
By munawwar-ranaNovember 9, 2020
mukhtasar hote hue bhi zindagi badh jaegi
man ki aankhen chum lije raushni badh jaegi
maut ka aana to tai hai maut aaegi magar
aap ke aane se thodi zindagi badh jaegi
itni chahat se na dekha kijiye mahfil mein aap
shahr walon se hamari dushmani badh jaegi
aap ke hansne se khatra aur bhi badh jaega
is tarah to aur aankhon ki nami badh jaegi
bewafai khel ka hissa hai jaane de ise
tazkira us se na kar sharmindagi badh jaegi

95553 viewsghazal • English