muKHtasar se muKHtasar ye ishq ka anjam hai
By nazeer-mohammad-arzu-jaipuriMay 8, 2022
mukhtasar se mukhtasar ye ishq ka anjam hai
har tamanna muztarib har aarzu nakaam hai
band aankhen dekh kar waqt-e-sahar hairan na ho
ab to bimar-e-mohabbat ko sahar bhi sham hai
dekhna bimar-e-gham ne chupke chupke kya kaha
haal-e-dil kuchh kah raha hai ya kisi ka nam hai
meri hasti paikar-e-ibrat hai aalam ke liye
meri barbaadi mohabbat ka khula anjam hai
mera jazb-e-ishq aakhir mera jazb-e-ishq hai
husn ko nicha dikha dun jab to mera nam hai
kyon nahin deti jawab un ko nigah-e-iltifat
mujh pe kyon aakhir sukun-e-qalb ka ilzam hai
dekhna tashrif late hain janab-e-‘arzu’
hath mein shisha baghal mein ek subu-e-kham hai

22470 viewsghazal • English