mulahiza ho meri bhi udan pinjre mein ata hue hain mujhe do-jahan pinjre mein hai sair-gah bhi aur is mein aab-o-dana bhi rakha gaya hai mera kitna dhyan pinjre mein is ek shart par us ne riha kiya mujh ko rakhega rehn wo meri udan pinjre mein yahin halak hua hai parinda khwahish ka tabhi to hain ye lahu ke nishan pinjre mein mujhe sataega tanhaiyon ka mausam kya hai mere sath mera khandan pinjre mein falak pe jab bhi parindon ki saf nazar aai hui hain kitni hi yaaden jawan pinjre mein khayal aaya hamein bhi khuda ki rahmat ka sunai jab bhi padi hai azan pinjre mein tarah tarah ke sabaq is liye ratae gae main bhul jaun khula aasman pinjre mein