mumkin hai gar to sare ka sara uTha ke bhag

By tasnim-abbas-quraishiMarch 1, 2024
mumkin hai gar to sare ka sara utha ke bhag
warna khandar se yaad ka malba utha ke bhag
pura utha ke bhag ya aadha utha ke bhag
ab aa gaya hai to gham-e-duniya utha ke bhag


koi zamana aaya nahin hai kisi ko ras
behtar yahi hai apna zamana utha ke bhag
dhunde se bhi milega tamashai kab yahan
qaht-ur-rijal mein tu tamasha utha ke bhag


tishna-labi ka ab jo gila kar raha hai dost
kis ne kaha tha sar pe tu sahra utha ke bhag
manzil tere nasib mein likkhi nahin gai
rasta hi dastyab hai rasta utha ke bhag


'tasnim' aakhirash tujhe banna hai rizq-e-khak
filhaal apne hisse ka dana utha ke bhag
56610 viewsghazalEnglish