munh-andhere hi koi ghar se nikalta hua tha ek manzar tha ki manzar se nikalta hua tha ek khilqat ki na hone mein phansi jati thi aur main hone ke chakkar se nikalta hua tha kuchh to wo khud hi chala aaya tha bahar bahar aur kuchh main bhi ab andar se nikalta hua tha khub raushan si koi chiz mere samne thi aur dhuan tha ki mere sar se nikalta hua tha muddaton yun hi tah-e-baal chale aate the aasman tha ki mere par se nikalta hua tha