munh mein jab tak zaban baqi hai

By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
munh mein jab tak zaban baqi hai
aap ki dastan baqi hai
tir tarkash kaman baqi hai
is ka matlab udan baqi hai


aakhiri waqt hai 'ibaadat ka
bas mohabbat mein jaan baqi hai
ji nahin lag raha padhai mein
aur abhi imtihan baqi hai


wo usi par phiraata hai nishtar
zakhm ka jo nishan baqi hai
chahe malbe ki shakl mein hi sahi
tera mera makan baqi hai


yar ise aur dub jaane de
thoda sa baadban baqi hai
le to sakta hun nam qatil ka
masala ye hai jaan baqi hai


hum natije ka intizar karen
ya abhi imtihan baqi hai
30360 viewsghazalEnglish