muntashir zehn ki sochon ko ikattha kar do tum jo aa jao to shayad mujhe tanha kar do dar-o-diwar pe padhta rahun nauha kal ka is ujale se to behtar hai andhera kar do ai mere gham ki chatano kabhi mil kar tuto is qadar zor se cikho mujhe bahra kar do ja rahe ho to mere khwab bhi lete jao dil ujada hai to aankhon ko bhi sahra kar do kuchh nahin hai to ye pindar-e-junun hai kisar tum ko mil jae gireban to tamasha kar do