muqable to ghalat-fahmiyan badhate hain ye walwale to ghalat-fahmiyan badhate hain qarib aao to shayad samajh mein aa jae ki fasle to ghalat-fahmiyan badhate hain hai mere sath mere dushmanon se rabt unhen ye silsile to ghalat-fahmiyan badhate hain agar hai koi shikayat to mil ke baat karo murasile to ghalat-fahmiyan badhate hain kisi ne qatl kiya aur saza kisi ko mili ye faisle to ghalat-fahmiyan badhate hain jo rahzanon ka taawun qubul karte hain wo qafile to ghalat-fahmiyan badhate hain tanazeat mein behtar hai sulh kar lena nae gile to ghalat-fahmiyan badhate hain ye laghzishon ka tasalsul ye mazarat paiham ye marhale to ghalat-fahmiyan badhate hain charagh-e-haq hain to khamosh kyun hain wo 'razmi' bina jale to ghalat-fahmiyan badhate hain