muqaddar aazmana chahta hun

By abdul-majeed-dard-bhopaliApril 24, 2024
muqaddar aazmana chahta hun
tumhaara aastana chahta hun
shab-e-furqat musalsal aansuon se
lagi dil ki bujhana chahta hun


khuda jaane wo kis ka aastan hai
jahan main sar jhukana chahta hun
mujhe bakhsha hai jis ne gham usi ko
sharik-e-gham banana chahta hun


teri makhmur aankhon ke tasadduq
yahin ab dub jaana chahta hun
jahan wo naqsh-e-pa mil jae mujh ko
wahin ka'ba banana chahta hun


na puchh ai 'dard' meri wusat-e-shauq
hudud-e-gham badhana chahta hun
89128 viewsghazalEnglish