muqaddar ne kahan koi naya paigham likkha hai
By abdul-hafeez-sahil-qadriApril 23, 2024
muqaddar ne kahan koi naya paigham likkha hai
azal hi se waraq par dil ke tera nam likkha hai
qadam mein jaanib-e-manzil badhaun kya ki qismat ne
jahan aaghaz likkha tha wahin anjam likkha hai
shikayat kya karun saqi se main us ke taghaful ki
mere honton ke hisse hi mein khali jam likkha hai
hamein hain muntakhab roz-e-azal se dard ki khatir
hamare nama-e-qismat mein har ilzam likkha hai
musalsal gham musalsal dard se tang aa ke ai 'sahil'
hum aise ahl-e-furqat ne sahar ko sham likkha hai

33594 viewsghazal • English