murjhae hue phir gul-e-tar dekh rahi hun na-qadri-e-arbab-e-hunar dekh rahi hun phir chashm-e-taghaful se teri hashr bapa hai main gardish-e-dauran ki nazar dekh rahi hun mizhgan pe larazte hue ashkon ke diye hain wawasta-e-jaan barq-o-sharar dekh rahi hun kya husn-e-basarat mein basirat ki kami hai kuchh ahl-e-nazar chaak-e-jigar dekh rahi hun pindar-e-wafa tamkanat-e-hosh khabar-dar aflak pe dharti ke qamar dekh rahi hun ab tak ye riwayat-e-kuhan jag rahi hain kuchh lal-o-gohar khak-basar dekh rahi hun kuchh teri nigahon ne dikhaya hai tamasha kuchh turfa zamane ka asar dekh rahi hun taskhir-e-mah-o-mehr ke ba-wasf 'aziz' aaj ujde hue khamosh nagar dekh rahi hun