musafir raste mein hai abhi tak

musafir raste mein hai abhi tak
nahin pahuncha ujala tirgi tak

gulon mein chand khilne ke ye din hain
magar khilti nahin hai ek kali tak

zara sa dard aur itni dawaen
pasand aai nahin chaaragari tak

barahna jism par do-chaar dhabbe
tamasha dekhte hain ajnabi tak

wo aisi qimti shai bhi nahin thi
luti to yaad aati hai abhi tak

likha khanjar se tera nam dil par
hamein aati nahin diwangi tak

use taswir karne ki lagan mein
'ibaadi' bhul baithe khud-kushi tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close